husn kā dekh har taraf gulzār
andalībāñ hue haiñ dil-afgār
ishq kī mai suuñ jo huā sarmast
dil huā us kā ḳhāna-e-ḳhummār
yaar aayā hai jab muālij ho
dard-e-furqat meñ nahiñ rahā bīmār
aap āshiq hai husn par apne
hai mire jaan kā ajab asrār
kahīñ āshiq kahīñ huā dilbar
kahīñ ma.ashūq kiiñ huā dildār
kiiñ huā shams kiiñ huā hai qamar
kiiñ huā nuur kiiñ huā hai naar
kiiñ huā arz kiiñ huā hai falak
kiiñ huā bahar kiiñ huā ashjār
kiiñ huā ins kiiñ huā hai malak
kiiñ huā diid kiiñ huā dīdār
kiiñ payambar kahīñ huā hai valī
kiiñ huā shaiḳh kiiñ huā zunnār
kiiñ hai qaazī kahīñ huā muftī
kiiñ huā mast kiiñ huā abrār
kiiñ huā jaan kiiñ huā jānāñ
sab meñ hai aur kahīñ sabhoñ se paar
haq meñ haq ho sadā anal-haq bol
dekh mansūr kyuuñ chaḌhā hai daar
ik-panā zaat kā 'alīmullāh'
shar.a bin ġhair kuchh na kar takrār