Alimullah

kita kahin pukar ai ghafil biya biya

Alimullah

kiitā kahīñ pukār ai ġhāfil biyā biyā
phirtā hai kyuuñ tū bhuul apas kā piyā piyā
būjhā hai kyuuñ ajal ko apas se ba.iid kar
ġhaflat meñ chup umar ko tū zaa.e kiyā kiyā
ab to samajh Tuk ek tirā jaan kaun hai
paapā hai jī ko jis ne muā nahiñ jiyā jiyā
lekin nahīñ hai kaam har ik ḳhaam kā yahāñ
āshiq vahī huā hai ki jo sar diyā diyā
pahuñchā hai jo ki ishq meñ manzil ko vasl kī
be-shak sakal jahāñ meñ huā be-riyā riyā
jo kui qadam ko apne rakhā rāh-e-ishq meñ
kahte haiñ āshiqāñ kī vo manzil liyā liyā
donoñ jahāñ se kaam nahīñ mujh ko ai 'alīm'
bas hai mujhe karīm diyā so hiyā hiyā
Top Urdushayar.com