Alimullah

tezi tere mizhgan ki ye nashtar se kahunga

Alimullah

tezī tire mizhgāñ kī ye nashtar se kahūñgā
abrū kī shikāyat dam-e-ḳhanjar se kahūñgā
ham-rañg-e-sham.a ishq meñ tere huuñ va-lekin
ye soz-e-jigar ātish mujmar se kahūñgā
dekhā huuñ maiñ jis roz se tujh husn kā jhalkā
hai dil meñ kabhī jāma-e-anvar se kahūñgā
tañgī jo tire pista-dahan kī hai sarāsar
sar-basta suḳhan ġhuncha-e-jauhar se kahūñgā
sairāb na huuñ tujh lab-e-shīrīñ se agar maiñ
ye tishna-labī chashma-e-kausar se kahūñgā
būjhā hai 'alīm' aaj ki hai husn kā tū ganj
ye ḳhush-ḳhabarī āshiq-e-be-zar se kahūñgā
Top Urdushayar.com