Alimullah

ab talak haq nahin pacchane wah-wah

Alimullah

ab talak haq nahiñ pacchāne vāh-vāh
jaan ko apnī na jaane vāh-vāh
tum jo karte ho faraz roza namāz
mahz aalam ko dikhāne vāh-vāh
muft khoī umr daane ghāñs meñ
phir kahāte ho siyāne vāh-vāh
māl-o-zar farzand kī rakh kar talab
ho rahe haq suuñ aghāne vāh-vāh
haq kī ḳhilqat meñ magar paidā hue
tum mahz khāne pakāne vāh-vāh
khopaḌī ulTī uñdhī ke haath suuñ
aiñTh chalte ho utāne vāh-vāh
haiñ yagāne aqrbāñ ḳhveshāñ satī
aap apne suuñ begāne vāh-vāh
pūchhte haiñ sab nafā nuqsān ko
sar diye paisā kamāne vāh-vāh
āshiqāñ ko bolte haiñ ai 'alīm'
ḳhalq duniyā ke divāne vāh-vāh
Top Urdushayar.com