piyā ke ruḳh kī jhalak kā partav kiyā hai jhalkār āftābī
nazar suuñ aalam ke ho rahī hai misāl-e-ḳhuffāsh be-hijābī
jise vo chahtā hai mukh dikhāne usī ko hai taab dekhne kā
vahī samajh baḳhsh murshid un kā talab hai tuuñ maañg jā shitābī
agar mile tujh ko chashm-e-bātin vahī hai maqsūd āqibat se
vagarna tahqīq-e-do-jahāñ meñ nahīñ hai hāsil ba-juz ḳharābī
usī ko kahte haiñ kor bātin jise nahīñ haigā diid us kā
na pāvegā vo najāt hargiz agarche vo ilm hai kitābī
karīm murshid ne chashm-e-bātin kiyā navāzish 'alīm' ke ta.iiñ
vasā haqīqat ke ghan kā ḳhurshīd ga.ī nikal kar nazar sarābī