ḳhayālāt rañgīñ nahīñ bolte us ko jyuuñ baas phūloñ ke rañgoñ meñ rahiye
do-rañgī suuñ jaanā guzar dil suuñ avval bazāñ jā ke vaañ ek rañgoñ meñ rahiye
vo vahshat ke jañgal meñ ho kar pareshāñ pahāḌoñ se ġham ke na ho sañg hargiz
sharar ho ke chhiḌ sañg tinke suuñ jaldī sakal ruuh ho barq rañgoñ meñ rahiye
nahīñ mauj-e-dariyā kī dahshat use jo ki maarā hai ġhota ho ġhavvās dil meñ
tah-e-bahr-e-vahdat meñ ġhavvās hone ko ta.alīm paane nahañgoñ meñ rahiye
shahādat mile chaar tan suuñ tujhe gar kare qatl tū pāñch mūziyāñ kuuñ dil ke
shahīdoñ kī rah saath har vaqt hamdam ho jyuuñ sher sherān jañgoñ meñ rahiye
falak charḳh-e-kaj-rau suuñ dekhe agar ḳhuub nai-rañgbāzī zamāne kī hikmat
guzar ġhair sohbat suuñ mad.hosh ho jā pahāḌoñ meñ jā kar bhujañgoñ meñ rahiye
samajh ai 'alīm' aaj rāh-e-haqīqat nipaT saḳht mushkil hai jaañ suuñ guzarnā
patañg ho ke jalne meñ vāsil raheñ haq suuñ ho mard-e-vāhid yakañgoñ meñ rahiye