Alimullah

aql-e-juzwi chhoD kar ai yar fikr-e-kul karo

Alimullah

aql-e-juzvī chhoḌ kar ai yaar fikr-e-kul karo
mish.al-e-dil ko chitā faanī charāġhāñ gul karo
dil lagāo ek se donoñ jahāñ jis kā zuhūr
bul-havas ho kar na hargiz ādat-e-bulbul karo
maiñ mohabbat suuñ hamesha ishq meñ sarshār huuñ
nashsha-e-fānī suuñ mat ḳhātir ko ḳhu-e-mul karo
zulf-o-āriz hai munavvar dekh vaj.hullāh kā
tum na ko sair-e-chaman aur ḳhvāhish-e-sumbul karo
qaul par lā-taqnatū ke raho hamesha jam.a-dil
mat tumheñ ḳhātir pareshāñ sūrat-e-kākul karo
ḳhauf mat rakkho kisī dushman se dil meñ yak ratī
pusht-bāñ apnā hamesha sāhab-e-duldul karo
ai 'alīmullāh' avval ishq meñ mismār ho
āshiqoñ meñ ba.ad apne āshiqī kā ġhul karo
Top Urdushayar.com