murġh zīrak aql kā hai ishq kā sayyād shoḳh
aql hai bisyār shīrīñ ishq kā farhād shoḳh
aql apne daam meñ kartā hai kul aalam ko qaid
band aur zanjīr suuñ nit ishq hai āzād shoḳh
aql būjhā āshiqāñ sab vājibuttāzīr haiñ
qātil-e-aql-o-fahm hai ishq kā jallād shoḳh
aql ko sab mulk meñ hai daad insāf-o-adal
kyā nihāyat ishq kā hai bādshah be-dād shoḳh
fahm aur fikrat meñ apnī aql gar faulād hai
aab kartā hai galā kar ishq kā haddād shoḳh
aql ke mīzāñ meñ aayā bahr aur bar kā hisāb
nahiñ magar aayā adad meñ ishq kā ta.adād shoḳh
aql suuñ jaane guzar tab āshiqāñ paate haiñ vasl
ai 'alīmullāh' ajab hai ishq kā irshād shoḳh