yaar ke darsan ke ḳhātir jaan aur tan bhuul jā
mukh munavvar dekh us kā rañg-e-gulshan bhuul jā
chaḌh ke taazī ishq kā nit 'man-araf' kā sair kar
'qad-araf' kā pahuñch ai dil mahl-o-maskan bhuul jā
tark de islām ko aur kufr saarā duur kar
chhoḌ de hirs-o-havā farzand aur zan bhuul jā
aarsī meñ dil ke har dam dekh mukhḌā ruuh kā
jaam ko jamshed ke aur fikr-e-darpan bhuul jā
dam-ba-dam dil ke nazar suuñ pī ke darsan kā sharāb
ai 'alīmullāh' jahāñ ke makr aur fan bhuul jā