apne se be-samajh ko haq kī kahāñ pachhānat
'man-arafa' ko na būjhā 'qad-arafa' suuñ jihālat
hai farz buujh avval apnā pichhe ḳhudā ko
be-būjh bandagī hai sab rañj aur malāmat
jannat kī tū mazdūrī būjhā hai bandagī ko
baḳhshish nahīñ hai hargiz juz lutf aur ināyat
hirs-o-havā meñ paḌ kar haq suuñ huā hai bātil
phir māñgtā hai jannat kyā nafs-e-bad-ḳhasālat
bin qalb kī huzūrī manzūr kyuuñ paḌegā
roza namāz rasmī sajda sujūd taa.at
ma.abūd ke muqābil aabid ko abadiyat hai
ġhībat meñ chup rijhānā kyā mahz hai ḳhajālat
tan nafs aur dil ruuh sar nūr-e-zāt mil kar
apne meñ haq ko paanā hai afzalulibādat
bin piir ke ḳhudā ko paayā na koī hargiz
kāmil ko kyuuñ pacchāne be-sidq o be-hidāyat
nahiñ hai 'alīm' ko sach taqvā amal pe apne
dīdār kā sanam ke kaafī hai istaqāmat