dayā saaqī labālab mujh ko sāġhar
huā saarā kudūrat dil suuñ bāhar
ajab thā mast saaqī jaam terā
chhupā bātin lagā disne ko zāhir
andhārā ġhair kā jī suuñ gayā Tal
huā ḳhurshīd aa añkhiyāñ meñ hāzir
diyā zarre ko apne mahr suuñ nuur
huā tis par karam suuñ aap nāzir
lagā kar faiz kā mujh jag meñ engine
kiyā hai ganj suuñ bātin ke māhir
tasadduq jān-o-dil suuñ meñ sarāpā
navāzish hai tirī do jag meñ nādir
'alīmullāh' tirā saaqī sachā hai
laqab jis ko 'muhayuddīn-qādir'