yaar tujh ko mirā ḳhayāl to hai
ishq meñ itnī dekh-bhāl to hai
ġham nahīñ gar ḳhushī nahīñ hāsil
furqat-e-dost kā malāl to hai
tujh pe guzrī hai kyā ḳhabar hai mujhe
tere jaisā hī merā haal to hai
merā haamī jahāñ nahīñ to kyā
shukr hai rabb-e-zul-jalāl to hai
hai agar zo.am-e-bartarī tum ko
ye bhī ik sūrat-e-zavāl to hai
mere pahlū meñ tū nahīñ na sahī
mere shāne pe terī shaal to hai
zindagī meñ yahī tamannā thī
dam-e-āḳhir tirā visāl to hai
us kī tamsīl hī nahīñ hai 'asad'
merā mahbūb be-misāl to hai