Aijaz Asad

chaar su intishaar hai kya hai

Aijaz Asad

1986

chaar intishār hai kyā hai

ye ḳhizāñ hai bahār hai kyā hai

sab ko mashkūk tum samajhte ho

ḳhud pe bhī e'tibār hai kyā hai

savā neze pe chāhiye sūraj

jism meñ barf-zār he kyā hai

mujh ko manzil nazar nahīñ aatī

duur tak rahguzār hai kyā hai

koī aahaT talak nahīñ hotī

mere andar mazār hai kyā hai

ek pal bhī nahīñ mirā apnā

zindagānī udhār hai kyā hai

mere hamdam zarā batā mujh ko

ye javānī ḳhumār hai kyā hai

hai jo mujh se 'asad' gurezāñ

maslahat shikār hai kyā hai

Top Urdushayar.com