kisī ghar kā bahut nuqsān hotā hai
to daulat-mand kā sāmān hotā hai
darūn-e-dil agar īmān hotā hai
to phir jiinā baḌā āsān hotā hai
hathelī par jo sar rakkhe laḌā.ī meñ
usī kī jiit kā imkān hotā hai
badan kā bojh ham Dhote hī rahte haiñ
mareñ to ġhair kā ehsān hotā hai
pate kī baat kah saktā hai vo pāgal
koī hushiyār bhī anjān hotā hai
ġharībī haath par rakhtī hai khāne ko
amīroñ kā hī dastar-ḳhvān hotā hai
'asad' aa jā ki ham ko chain aa jaa.e
ye ghar tere binā sunsān hotā hai