Aijaz Asad

gulon pe shabnam nahin lahu hai

Aijaz Asad

1986
guloñ pe shabnam nahīñ lahū hai
ye kaisī sauġhāt-e-rañg-o-bū hai
bahār ḳhanjar-ba-dast aa.ī
har ik manzar lahū lahū hai
koī tamannā nahīñ hai mujh ko
sukūn-e-dil kī hī aarzū hai
maiñ ik muddat se lāpata huuñ
mujhe ḳhud apnī hī justujū hai
ye be-dilī kī namāz terī
gumān hotā hai be-vuzū hai
is ko aksar maiñ sochtā huuñ
mirī ġhazal kī jo aabrū hai
mirā nahīñ hai 'asad' ye chehra
to kaun shīshe meñ rū-ba-rū hai
Top Urdushayar.com