Aijaz Asad

gham-e-wafa ko pas-e-pusht Dalna hoga

Aijaz Asad

1986
ġham-e-vafā ko pas-e-pusht Dālnā hogā
khaTak rahā hai jo kāñTā nikālnā hogā
faqīr-e-ishq huuñ kuchh de ke Tālnā hogā
bas ik nigāh kā sikka uchhālnā hogā
savāl dosto azmat kā hai saroñ kā nahīñ
hameñ vaqār kā parcham sambhālnā hogā
ġhazab kī pyaas lagī sāmnā sarāb kā hai
so reg-e-sahrā se paanī nikālnā hogā
use batāo ki faaqa hai aaj apnā bhī
magar faqīr ko izzat se Tālnā hogā
ye intizār salāmat rahe vo aa.egā
magar hai shart ki dil ko sambhālnā hogā
tumhāre dil kī zamīñ jal chukī magar 'aijāz'
isī se naḳhl-e-mohabbat nikālnā hogā
Top Urdushayar.com