Aijaz Asad

diwar-e-takalluf hai to mismar karo na

Aijaz Asad

1986
dīvār-e-takalluf hai to mismār karo nā
gar us se mohabbat hai to iz.hār karo nā
mumkin hai tumhāre liye ho jā.ūñ maiñ āsāñ
tum ḳhud ko mire vāste dushvār karo nā
gar yaad karoge to chalā ā.ūñgā ik din
tum dil kī guzargāh ko hamvār karo nā
bāhar ke mahāzoñ kī tumheñ fat.h mubārak
ab nafs ke shaitāñ ko giraftār karo nā
kahnā hai agar kuchh to pas-o-pesh karo mat
khul ke kabhī jazbāt kā iz.hār karo nā
har rishta-e-jāñ toḌ ke aayā huuñ yahāñ tak
tum bhī mirī ḳhātir koī īsār karo nā
'aijāz' tumhāre liye sāhil pe khaḌā huuñ
dariyā-e-vafā mere liye paar karo nā
Top Urdushayar.com