Aijaz Asad

duniya mein kise aag lagani nahin aati

Aijaz Asad

1986
duniyā meñ kise aag lagānī nahīñ aatī
afsos magar sab ko bujhānī nahīñ aatī
tā-hadd-e-nazar dasht hai kyuuñ baiThe hue ho
lagtā hai tumheñ ḳhaak uḌānī nahīñ aatī
vo shoḳh hai bātoñ meñ lagā rahtā hai aksar
suntā huuñ mujhe baat banānī nahīñ aatī
bistar kī zarūrat hī nahīñ niiñd ko pyāre
kyā jism kī chādar hī bichhānī nahīñ aatī
bujhtī hī nahīñ aag lagī hai jo jigar meñ
lekin mire ashkoñ meñ ravānī nahīñ aatī
ḳhushbū se mahaktī hī nahīñ raat hamārī
ḳhvāboñ meñ agar raat kī raanī nahīñ aatī
nādān mirī mez ke shīshe pe gire haiñ
ashkoñ ko bhī tasvīr banānī nahīñ aatī
maiñ ḳhud bhī khilaunoñ kā taraf-dār rahūñgā
jab tak mire bachchoñ pe javānī nahīñ aatī
maiñ sirf haqīqat hī bayāñ kartā huuñ 'aijāz'
afsāna nahīñ aatā kahānī nahīñ aatī
Top Urdushayar.com