Karam Hyderabadi

ishq ki duniya mein kya kya hum ko saughaten milin

Karam Hyderabadi

ishq kī duniyā meñ kyā kyā ham ko sauġhāteñ milīñ
suunī sub.heñ rotī shāmeñ jāgtī rāteñ milīñ
yā barastī dhuup meñ tapte sulagte din mile
yā ridā-e-dard meñ lipTī huī rāteñ milīñ
kuchh sabāhat kuchh malāhat thī nasīb-e-āshiqāñ
āñsuoñ ke rañg meñ namkīn barsāteñ milīñ
gah ujaḌ jaane kā mātam gah bichhaḌ jaane kā shor
dil ke andar jab milīñ nauhoñ kī bārāteñ milīñ
khokhle chehroñ pe sīm-o-zar kī thiiñ ārā.isheñ
ahl-e-ma.anī ko magar lafzoñ kī ḳhairāteñ milīñ
khelne vaale to bas das biis shatranjī rahe
dekhne vāloñ ko shah-mātoñ pe shah-māteñ milīñ
zalzale aa.e to jo paikar the sañg-o-ḳhisht ke
un ke hoñToñ par duā.eñ aur munājāteñ milīñ
ishq ko fikr-o-shu.ūr-e-zindagī darkār thā
aur use nā-puḳhta zehnoñ kī karāmāteñ milīñ
ham unhī ko sher kā qālib atā karte rahe
be-sadā hoñToñ pe jo bikhrī huī bāteñ milīñ
kis tarah kahte 'karam' duniyā se apne dil kā haal
dostoñ se bhī adhūrī sī mulāqāteñ milīñ
Top Urdushayar.com