gar hai na.e nizām kī taḳhlīq kā ḳhayāl
ābādiyoñ ko nazr-e-bayābāñ to kījiye
gar jalva-e-jamāl kī dil ko hai aarzū
ashkoñ se chashm-e-shauq charāġhāñ to kījiye
honā hai dard-e-ishq se gar lazzat-āshnā
dil ko ḳharāb-e-talḳhī-e-hijrāñ to kījiye
ik lamha-e-nashāt kī gar hai havas 'shamīm'
dil ko halāk-e-hasrat-o-armāñ to kījiye