vo hasrat-e-bahār na tūfān-e-zindagī
aatā hai phir rulāne ko abr-e-bahār kyuuñ
ālām-o-ġham kī tund havādis ke vāste
itnā latīf dil mire parvardigār kyuuñ
jab zindagī kā maut se rishta hai munsalik
phir ham-nashīñ hai ḳhatra-e-lail-o-nahār kyuuñ
jab rabt-o-zabt husn-e-mohabbat nahīñ rahā
hai bār-e-dosh hasti-e-nā-pā.edār kyuuñ
ronā mujhe ḳhizāñ kā nahīñ kuchh magar 'shamīm'
is kā gila hai aa.ī chaman meñ bahār kyuuñ