but yahāñ milte nahīñ haiñ yā ḳhudā miltā nahīñ
azm mustahkam to ho duniyā meñ kyā miltā nahīñ
ham-safīrān-e-junūñ yuuñ ham se aage baḌh ga.e
qāfila kyā hai ġhubār-e-qāfila miltā nahīñ
apnī sūrat dekhnā ho apne dil meñ dekhiye
dil sā duniyā meñ koī bhī aa.ina miltā nahīñ
de diyā hai aap ko dil ab hifāzat kījiye
har ḳhazāne meñ ye la.al-e-be-bahā miltā nahīñ
DhūñDhtā phirtā hai mujh ko kyuuñ fareb-e-rañg-o-bū
maiñ vahāñ huuñ ḳhud jahāñ apnā pata miltā nahīñ