Abdullateef Shauq

laghzish-e-saqi-e-mai-KHana KHuda KHair kare

Abdullateef Shauq

Nepalgunj, Nepal

1938
laġhzish-e-sāqī-e-mai-ḳhāna ḳhudā ḳhair kare
phir na TuuTe koī paimāna ḳhudā ḳhair kare
har ghaḌī jalva-e-jānāna ḳhudā ḳhair kare
terā dil hai ki sanam-ḳhāna ḳhudā ḳhair kare
log kar Dāleñ na ḳhud apne jigar ke TukḌe
be-naqāb un kā chale aanā ḳhudā ḳhair kare
dil kī baat un se abhī kah to ga.e ho lekin
koī ban jaa.e na afsāna ḳhudā ḳhair kare
sham.a bechain hai badnām na ho jā.ūñ kahīñ
par jalā baiThā hai parvāna ḳhudā ḳhair kare
kaun guzregā tire dār-o-rasan se hans kar
ġham hai jaane kahāñ dīvāna ḳhudā ḳhair kare
paañv uThte hī nahīñ 'shauq' jabīñ hai betāb
sāmne hai dar-e-jānāna ḳhudā ḳhair kare
Top Urdushayar.com