Abdullateef Shauq

ruThe hain humse dost hamare kahan kahan

Abdullateef Shauq

Nepalgunj, Nepal

1938
rūThe haiñ ham se dost hamāre kahāñ kahāñ
TuuTe haiñ zindagī ke sahāre kahāñ kahāñ
duniyā kī bāzgasht meñ apnī hī hai sadā
aise meñ koī tujh ko pukāre kahāñ kahāñ
ka.abe meñ thā sakūñ na kalīsā meñ chain thā
tujh se bichhaḌ ke din ye guzāre kahāñ kahāñ
tū thā rag-e-gulū se ziyāda qarīb-tar
DhūñDh aa.e tujh ko diid ke maare kahāñ kahāñ
taare kahīñ haiñ phuul kahīñ haiñ guhar kahīñ
bikhre hue haiñ ashk hamāre kahāñ kahāñ
sham.a bhī muztarib hai patañgā bhī muztarib
pahuñche haiñ soz-e-ġham ke sharāre kahāñ kahāñ
fursat mile kabhī to shab-e-ġham se poñchhnā
TuuTe haiñ chashm-e-'shauq' se taare kahāñ kahāñ
Top Urdushayar.com