ka.aba hai kabhī to kabhī but-ḳhāna banā hai
ye dil bhī ajab chiiz hai kyā kyā na banā hai
jis roz se dil aap kā dīvāna banā hai
ek lafz bhī niklā hai to afsāna banā hai
ye aaj kā din hashr kā din to nahīñ yārab
apnā thā jo kal tak vahī begāna banā hai
tinkoñ kā to bas naam hai sachchā.ī yahī hai
ik jehd-e-musalsal hai jo kāshāna banā hai
taḳhrīb ke parde meñ hī ta.amīr hai saaqī
shīsha koī pighlā hai to paimāna banā hai
takmīl-e-vafā hosh meñ mumkin hī nahīñ thā
dīvāna samajh buujh ke dīvāna banā hai
duniyā meñ koī mol na thā 'shauq' kā lekin
qismat hai jo sañg-e-dar-e-jānāna banā hai