dil diyā vahshat liyā aur ḳhud ko rusvā kar liyā
muḳhtasar sī zindagī meñ maiñ ne kyā kyā kar liyā
dil kī ḳhātir kufr bhī us ne gavārā kar liyā
ek patthar ḳhud tarāshā ḳhud hī sajda kar liyā
aap kī chāhat kā milnā jaan lūñgā muft hai
jaan de kar bhī agar maiñ ne ye saudā kar liyā
bāl-o-par apne salāmat Dar añdheroñ kā nahīñ
chaar tinke jab bhī phūñke haiñ ujālā kar liyā
dard baḳhshā chain chhīnā dil ke TukḌe kar diye
haa.e kis zālim pe maiñ ne bhī bharosa kar liyā
'shauq' jab tak saañs hai tab tak hai ummīd-e-hayāt
kyuuñ abhī se aap ne dil apnā chhoTā kar liyā