Abdullateef Shauq

achchha hai koi tir-ba-nashtar bhi le chalo

Abdullateef Shauq

Nepalgunj, Nepal

1938
achchhā hai koī tīr-bā-nashtar bhī le chalo
kuchh yādgār-e-shahr-e-sitamgar bhī le chalo
sab jā rahe gulāb se chehre liye hue
tum ā.inoñ ke shahr meñ patthar bhī le chalo
yuuñ kam nahīñ hai shīrīñ-bayānī hī aap kī
chāho to āstīn meñ ḳhanjar bhī le chalo
mujh ko kisī yazīd kī bai.at nahīñ qubūl
neze ye rakkho aao mirā sar bhī le chalo
kyā jaane kaise ḳhvāb sajāne paḌeñ ai 'shauq'
āñkho meñ ik hasīn sā manzar bhī le chalo
Top Urdushayar.com