manzil-e-yār be-nishāñ bhī nahīñ
dil ho ġhāfil to rāz-dāñ bhī nahīñ
barq kyuuñ be-qarār hai itnā
ab to gulshan meñ āshiyāñ bhī nahīñ
ho nazar meñ agar haqīqat-e-husn
zindagī saada dāstāñ bhī nahīñ
vo jafāoñ pe sharmsār na hoñ
ab ye manzil mujhe garāñ bhī nahīñ
yaar kī justujū ko kyā kahiye
rā.egāñ bhī hai rā.egāñ bhī nahīñ
dil tak aa.e to vaj.h-e-taskīñ ho
vo nazar itnī mehrbāñ bhī nahīñ
allāh allāh surūr-e-yād-e-habīb
ab mujhe hijr kā gumāñ bhī nahīñ
lab tak aa jaa.e to qayāmat hai
āshiqī kār-e-be-fuġhāñ bhī nahīñ
azmat-e-husn ishq se hai 'ra.īs'
sar nahīñ hai to āstāñ bhī nahīñ