ye bhuul jā ki haiñ tere bhī ġham-gusār bahut
banānā kāġhzī phūloñ ke ḳhushk haar bahut
jo chashm-e-yār hai hosh-o-ḳhirad shikār bahut
dil-o-nazar pe hameñ bhī hai iḳhtiyār bahut
ham apne vaqt kī tasvīr-e-masḳh-sūrat haiñ
dikhā.e ham ko na ā.īna rozgār bahut
ḳhudā vo vaqt na laa.e ki āzmā.ish ho
ta.alluqāt tumhīñ se haiñ ustuvār bahut
kisī bhī shāḳh pe jab merā āshiyāñ na milā
chaman meñ aaj phirī barq be-qarār bahut
dil-e-tabāh kī nairañgiyoñ kā haal na pūchh
gahe qarār bahut gaah be-qarār bahut
hayāt nāzish-e-kaunain ho to kyā ġham hai
vo chaar din kī sahī umr-e-musta.ār bahut
hameñ to apnī vafāoñ kā mil rahā hai sila
jafā-o-jaur pe vo kyuuñ haiñ sharmsār bahut
bahut dinoñ se ab apnī talāsh meñ gum haiñ
'ra.īs' chhān chuke ḳhāk-e-kū-e-yār bahut