sab ko vahshat hai mirī vahshat ke sāmāñ dekh kar
chāk-dāmāñ dekh kar chāk-e-garebāñ dekh kar
be-ḳhabar kāñToñ se thā ahl-e-mohabbat kā shu.ūr
paañv rakhne the zamīn-e-kū-e-jānāñ dekh kar
allāh allāh jazba-e-ulfat kī mo.ajiz-kāriyāñ
vo pareshāñ ho ga.e mujh ko pareshāñ dekh kar
yaad aayā phir mujhe afsāna-e-tūr-o-kalīm
ik tajallī sī tire aariz pe raqsāñ dekh kar
chāragar ab mujh se merī lazzat-e-īzā na pūchh
ḳhanda-zan hote haiñ zaḳhm-e-dil namakdāñ dekh kar
hai mohabbat kā agar donoñ taraf yaksāñ asar
vo pareshāñ kyuuñ nahīñ mujh ko pareshāñ dekh kar
is meñ muzmar haiñ bahut naġhme hayāt-e-ishq ke
chheḌ mizrāb-e-junūñ sāz-e-rag-e-jāñ dekh kar
is junūñ kā chāragar ab aur hī kuchh kar ilaaj
aur vahshat baḌh chalī hai kunj-e-zindāñ dekh kar
vā nahīñ hotā lab-e-shikva sar-e-mahshar 'ra.īs'
apne sar par ḳhanjar-e-qātil kā ehsāñ dekh kar