Raees Niyazi

jab hai miTna hi to andaz hakimana sahi

Raees Niyazi

jab hai miTnā hī to andāz hakīmāna sahī
ḳhalvat-e-ġham ke evaz gosha-e-mai-ḳhāna sahī
raunaq-e-bāda-kashī jur.at-e-rindāna sahī
ḳhaar honā hai to mai-ḳhāna-ba-mai-ḳhāna sahī
ishq ik qatre meñ dariyā ko samo detā hai
aql ko dīvāna samajhtī hai to dīvāna sahī
mere dil meñ bhī tajallī ke ḳhazīne haiñ nihāñ
māh-o-ḳhurshīd meñ aks-e-ruḳh-e-jānāna sahī
fursat-e-shauq ġhanīmat hai uThā bhī sāġhar
zindagī ek chhalaktā huā paimāna sahī
kyā ḳhabar thī ki mai-e-nāb meñ itnā hai surūr
ab jo pī lī hai to ik aur bhī paimāna sahī
merī vārafta-nigāhī kī bhī kuchh qīmat hai
bazm kī bazm ruḳh-e-yār kā parvāna sahī
fikr-o-ehsās meñ poshīda haiñ asrār-e-hayāt
bāl-o-par quvvat-e-parvāz se begāna sahī
yahī kyā kam hai ki barbād-e-mohabbat hai 'ra.īs'
tere altāf-o-ināyāt se begāna sahī
Top Urdushayar.com