Raees Niyazi

ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jati hai

Raees Niyazi

ab ye aalam hai ki jis shai pe nazar jaatī hai

hū-ba-hū aap tasvīr nazar aatī hai

ḳhud ko tārīḳh kisī vaqt jo dohrātī hai

mere hālāt pe duniyā ko hañsā jaatī hai

yād-e-ayyām-e-bahārāñ bhī nahīñ vaj.h-e-sukūñ

ab to taz.īn-e-qafas mujhe bahlātī hai

barq ban ban ke girī hai mire dil par akasr

vo tajallī jo sar-e-tūr nazar aatī hai

aaj kuchh un tavajjoh meñ kamī paatā huuñ

zindagī maut se do-chār huī jaatī hai

dil bhar aatā hai mirā dekh ke nam aañkh koī

apne rone pe to ab mujh ko hañsī aatī hai

maiñ vo ik nañg-e-zamāna huuñ azal se 'ra.īs'

zindagī hai ki mire naam se sharmātī hai

Top Urdushayar.com