har aa.ine ne kahā ruḳhsat-e-ġhubār ke ba.ad
yahāñ to kuchh bhī nahīñ hai jamāl-e-yār ke ba.ad
zamāna zer-e-nagīñ thā razā-e-yār ke ba.ad
vo iḳhtiyār milā tark-e-iḳhtiyār ke ba.ad
ye māntā huuñ adab shart-e-ishq hai lekin
ye hosh kis ko rahegā nigāh-e-yār ke ba.ad
paroñ se muñh ko chhupā kar qafas meñ aa baiThā
chaman kā haal na dekhā gayā bahār ke ba.ad
tire jamāl ko samjhe tilism ġhuncha-o-gul
fareb khaa.e bahut ham ne e'tibār ke ba.ad
vo jaam jaam nahīñ hāsil-e-do-ālam hai
jo dast-e-shauq meñ aayā hai intizār ke ba.ad
ġham-e-firāq kī manzil 'ra.īs' ḳhatm huī
ab aage jalve hī jalve haiñ hijr-e-yār ke ba.ad