tumhārī bazm meñ mujh tak bhī jaam aayā to
vufūr-e-shauq ne koī maqām paayā to
qadam qadam pe hamārī hī āzmā.ish hai
agar tumheñ kisī manzil pe āzmāyā to
ham apnī tāb-e-nazar se bahut pashemāñ haiñ
phir ab kī baar hameñ kuchh nazar na aayā to
dil-e-tabāh se shāyad koī kiran phūTī
harīm-e-shauq kā har gosha jagmagāyā to
tumhāre ġham ko matā-e-hayāt samjhā huuñ
ba-ittifāq ye ġham bhī na raas aayā to
mujhe satāo baḌe shauq se satāo tum
mujhe satā ke bhī tum ne na chain paayā to