Raees Niyazi

mizaj-e-naghma-o-sher-o-sharab paida kar

Raees Niyazi

mizāj-e-naġhma-o-sher-o-sharāb paidā kar
hayāt-e-ishq meñ kuchh āb-o-tāb paidā kar
nazar ko ḳhīrgī-e-shauq be-panāh mile
har ek zarre se vo āftāb paidā kar
shikast-e-ḳhvāb ke bā-vasf band haiñ āñkheñ
phir ek baar tamāshā-e-ḳhvāb paidā kar
ye be-niyāzī-e-taz.īn-e-ā.ina kab tak
kabhī kabhī to ḳhud apnā javāb paidā kar
har ek zarra hai māmūra-e-jamāl-e-habīb
dil-e-hazīñ nigah-e-kāmyāb paidā kar
dil-o-nigāh ko dhoke bhī raas aa.e haiñ
vufūr-e-tishna-labī meñ sarāb paidā kar
na kar shikāyat-e-daurāñ na ban harīf-e-zamāñ
musībatoñ kā koī sadd-e-bāb paidā kar
pahuñch buland-maqāmāt-e-sher-o-naġhma tak
adab meñ ek dil-āvez baab paidā kar
ġharaz to ye hai tirā markaz-e-nigāh rahūñ
sukūn-e-dil na sahī iztirāb paidā kar
'ra.īs' tujh ko to marne kī bhī nahīñ fursat
kahā thā kis ne ki aise azaab paidā kar
Top Urdushayar.com