niyāz-e-ishq hai nāz-e-butāñ hai
mohabbat kā.enāt-e-do-jahāñ hai
hijābāt-e-ta.ayyun uTh rahe haiñ
nigāh-e-shauq terā imtihāñ hai
masarrat bhī baḌī ne.amat hai lekin
tire ġham se mujhe fursat kahāñ hai
na rahbar hai na jaada hai na manzil
nigāhoñ meñ ġhubār-e-kārvāñ hai
tire naqsh-e-qadam par chal rahā huuñ
ḳhudā jaane mirī manzil kahāñ hai
mirā zauq-e-siyah-kārī na pūchho
tumhāre hī karam kā imtihāñ hai
yahī shāyad hai takmīl-e-tasavvur
mujhe ḳhud par bhī ab un kā gumāñ hai
tum apne ġham kī azmat mujh se pūchho
tumhārā ġham hayāt-e-jāvidāñ hai
ye duniyā hai 'ra.īs'-e-soḳhta-jāñ
yahāñ har gaam par ik imtihāñ hai