Raees Niyazi

jaan de di rahraw-e-manzil ne manzil ke qarib

Raees Niyazi

jaan de dī rahrav-e-manzil ne manzil ke qarīb
hausle tūfāñ ke nikle bhī to sāhil ke qarīb
vo nazar bahkī huī phirtī hai kyuuñ dil ke qarīb
us kī manzil bhī hai shāyad merī manzil ke qarīb
azm-e-ġharqābī hai to minnat-kash-e-tūfāñ na ban
kashtiyāñ lākhoñ huī haiñ ġharq sāhil ke qarīb
rahrav-e-manzil ne ban kar markaz-e-yās-o-umīd
manzileñ lākhoñ banā liiñ apnī manzil ke qarīb
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā chāhiye
mauj bhī sāhil nazar aatī hai sāhil ke qarīb
jaan de kar mutma.in hai rahrav-e-himmat-shikan
dūrī-e-manzil ne pahuñchāyā hai manzil ke qarīb
dīdanī hai us kī hasrat us kā armāñ us kā shauq
jis kī kashtī Duub jaa.e aa ke sāhil ke qarīb
Dagmagā jaate haiñ pā-e-shauq akasr ai 'ra.īs'
manzileñ aisī bhī aa jaatī haiñ manzil ke qarīb
Top Urdushayar.com