hayāt-e-ishq kī ḳhurshīd-sāmānī nahīñ jaatī
miTā jaatā hai dil zarroñ kī tābānī nahīñ jaatī
jo kal tak khel samjhe the hameñ barbād kar denā
ab un maġhrūr nazroñ kī pashemānī nahīñ jaatī
hamīñ par lutf kī bārish hai lekin vā.e-nādānī
hamīñ se vo nigāh-e-lutf pahchānī nahīñ jaatī
vatan kyā jur.at-e-ahl-e-junūñ se ho gayā ḳhālī
ḳhirad kī quvvat-e-tajdīd-e-vīrānī nahīñ jaatī
bahār aa.ī khile ġhunche magar ai nāzim-e-gulshan
hamāre āshiyāñ kī sho.ala-sāmānī nahīñ jaatī
mirī sahbā kī azmat sirf ahl-e-dil samajhte haiñ
piye jaatā huuñ lekin pāk-dāmānī nahīñ jaatī
ye kis kāfir-adā kā jalva-e-ma.asūm dekhā hai
'ra.īs' ab tak mirī nazroñ kī hairānī nahīñ jaatī