Raees Niyazi

jo nur dekhta hun main jam-e-sharab mein

Raees Niyazi

jo nuur dekhtā huuñ maiñ jām-e-sharāb meñ
vo āftāb meñ hai na vo māhtāb meñ
is tarah azm-e-zohd hai ahd-e-shabāb meñ
chalne kā jaise qasd kare koī ḳhvāb meñ
merī nazar se chhup ke raheñ vo hijāb meñ
mere nadīm kyā mah-o-anjum haiñ ḳhvāb meñ
mujh ko sunā.e jaate haiñ afsāne ḳhuld ke
Duubā huā huuñ mastī-e-sher-o-sharāb meñ
āḳhir tilism-e-ġhuncha-o-gul TuuT kar rahā
merī nazar se chhup na sake vo hijāb meñ
insān khā rahā hai fareb-e-hayāt kyuuñ
kashtī kabhī ravāñ bhī huī hai sarāb meñ
begāna-e-nazar the hamīñ is kā kyā ilaaj
shāmil haiñ rahmateñ bhī kisī ke itaab meñ
har manzar-e-jamīl pe go ruk ga.ī nazar
Thahre magar tumhīñ nigah-e-intiḳhāb meñ
merā har ik nafas hai payām-e-razā-e-dost
zāhid phañsā huā hai azāb-o-savāb meñ
har manzar-e-jamīl ko Thukrā ke ai 'ra.īs'
ḳhud sāmne hoñ apnī nazar ke javāb meñ
Top Urdushayar.com