umr bhar duniyā ko samjhātā rahā
ḳhud fareb-e-zindagī khātā rahā
raushnī āñkhoñ meñ baaqī thī na thī
vo nazar meñ thā nazar aatā rahā
zindagī kyā thī tire jaane ke ba.ad
saañs thā aatā rahā jaatā rahā
is tarah DhūñDhoge ik din tum mujhe
jaise kuchh khoyā gayā jaatā rahā
apnī sūrat hī na pahchānī ga.ī
vaqt ā.īna to dikhlātā rahā
apne hī TuuTe khilaunoñ se 'ra.īs'
zindagī bhar dil ko bahlātā rahā