ek muddat se use ham ne judā rakkhā hai
ye alag baat hai yādoñ meñ basā rakkhā hai
hai ḳhalā chāroñ taraf us ke to ham kyuuñ na kaheñ
kis ne is dhartī ko kāñdhoñ pe uThā rakkhā hai
jo sadā saath rahe aur dikhā.ī bhī na de
naam us kā to zamāne ne ḳhudā rakkhā hai
mire chehre pe ujālā hai to hairāñ kyuuñ hai
ham ne sapne meñ bhī ek chāñd chhupā rakkhā hai
jo talab chāñdnī rātoñ meñ bhaTaktī hī rahī
ab use dhuup kī chādar meñ sulā rakkhā hai