Sultan Nizami

jhijak raha hun use aashkar karte hue

Sultan Nizami

jhijak rahā huuñ use āshkār karte hue
jo kashmakash thī tirā intizār karte hue
kaTīlī dhuup kī shiddat ko bhī nazar meñ rakho
kisī daraḳht ko be-barg-o-bār karte hue
havā ke paañv bhī shal ho ke rah ga.e akasr
tire nagar kī fasīloñ ko paar karte hue
yahī huā ki samundar ko pī ke baiTh ga.ī
hamārī naav safar iḳhtiyār karte hue
kahāñ vo zaat ki jis ko sukūn miltā thā
tamām rāhateñ ham par nisār karte hue
Top Urdushayar.com