Sultan Nizami

bahar hisar-e-gham se faqat dekhne mein tha

Sultan Nizami

bāhar hisār-e-ġham se faqat dekhne meñ thā
uljhā huā to vo bhī kisī mas.ale meñ thā
yuuñ bhī ġhalat umiid kā ilzām aa gayā
hālāñki har savāl mirā zābte meñ thā
duniyā kī fikr tujh ko mujhe thā tirā ḳhayāl
bas itnā farq tere mire sochne meñ thā
har shaḳhs apne-āp ko samjhe hue thā miir
taqlīd-e-kār koī kahāñ qāfile meñ thā
patthar vahīñ se aate the mujh ko navāzne
shīshe kā ik makāñ jo mire rāste meñ thā
'sultān' hukmarāñ thā vo har lamha zehn par
mashġhūl raat din maiñ jise bhūlne meñ thā
Top Urdushayar.com