Sultan Nizami

jine ki tamanna hai na marne ki tamanna

Sultan Nizami

jiine kī tamannā hai na marne kī tamannā
hai aap ke kūche se guzarne kī tamannā
tajdīd-e-ta.alluq kī ab ummīd hai jaise
Duubī huī kashtī ke ubharne kī tamannā
be-sāḳhta aa jā.iye parde se nikal kar
ā.īne ko rah jaa.e sañvarne kī tamannā
sūraj ko samundar meñ Dubo detī hai har shaam
ārām se ik raat guzarne kī tamannā
jannat se nikalvā.egī 'sultān' tumheñ phir
us shoḳh ke shīshe meñ utarne kī tamannā
Top Urdushayar.com