Sultan Nizami

jo kashmakash thi tera intizar karte hue

Sultan Nizami

jo kashmakash thī tirā intizār karte hue
jhijak rahā huuñ use āshkār karte hue
kasīlī dhuup kī shiddat ko bhī nazar meñ rakho
kisī daraḳht ko be-barg-o-bār karte hue
guzishta saal kī āfāt kab ḳhayāl meñ thiiñ
nashemanoñ ko supurd-e-bahār karte hue
kisī ne apne girebāñ meñ kyā talāsh kiyā
hamāre raqs-e-vafā kā shumār karte hue
havā ke paañv bhī shal ho ke rah ga.e aksar
tire nagar kī fasīloñ ko paar karte hue
yahī huā ki samundar ko pī ke baiTh ga.ī
hamārī naav safar iḳhtiyār karte hue
usī ke vāste 'sultān' be-qarār haiñ ham
jise qarār mile be-qarār karte hue
Top Urdushayar.com