Sultan Nizami

aainon mein aks bin kar jin ke paikar aa gae

Sultan Nizami

ā.inoñ meñ aks bin kar jin ke paikar aa ga.e
halqa-e-tanhā.ī se vo log bāhar aa ga.e
sā.ebāñ ne tapte sūraj se milā.ī kyā nazar
an-ginat sūraj mire kamre ke andar aa ga.e
qaiñchiyoñ ko phir na.e sar se mileñge mashġhale
phir uḌānoñ ke liye baazū meñ shahpar aa ga.e
vahshatoñ kī daad ko muhtāj hī rahte magar
is havelī se guzarnā thā ki patthar aa ga.e
mish.al-e-rāh-e-mohabbat haiñ mire naqsh-e-qadam
jin pe chal kar manziloñ tak aaj rahbar aa ga.e
ishq kī pābandiyāñ bekār ho kar rah ga.iiñ
ham tasavvur meñ kisī ke hoñT chhū kar aa ga.e
aa.ine alfāz ke 'sultān' karte haiñ kamāl
bal jabīnoñ par paḌe hāthoñ meñ ḳhanjar aa ga.e
Top Urdushayar.com