Aziz Nabeel

guzarne wali hawa ko bata diya gaya hai

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
guzarne vaalī havā ko batā diyā gayā hai
ki ḳhushbuoñ kā jazīra jalā diyā gayā hai
zamīñ kī aañkh kā naqsha banā diyā gayā hai
aur ek tiir fazā meñ chalā diyā gayā hai
usī ke dam se thā raushan sipāh-e-shab kā alam
vo chāñd jis ko zamīñ meñ dabā diyā gayā hai
vo ek raaz! jo muddat se raaz thā hī nahīñ
us ek raaz se parda uThā diyā gayā hai
tumheñ patā nahīñ ḳhāna-ba-dosh ummīdo?
nayā ilāqa sar-e-jāñ basā diyā gayā hai
jahāñ huā thā basārat kā qatl-e-ām 'nabīl'
vahāñ ik ā.ina-ḳhāna banā diyā gayā hai
Top Urdushayar.com