na jaane kaisī mahrūmī pas-e-raftār chaltī hai
hamesha mere aage aage ik dīvār chaltī hai
vo ik hairat ki maiñ jis kā ta.āqub roz kartā huuñ
vo ik vahshat mire hamrāh jo har baar chaltī hai
nikal kar mujh se bāhar lauT aatī hai mirī jānib
mirī dīvāngī ab sūrat-e-parkār chaltī hai
ajab andāz-e-ham-safarī hai ye bhī qāfile vaalo
hamāre darmiyāñ ik āhanī dīvār chaltī hai
ġhazal kahnā bhī ab ik kār-e-be-masraf sā lagtā hai
nayā kuchh bhī nahīñ hotā bas ik takrār chaltī hai
'nabīl' is ishq meñ tum jiit bhī jaao to kyā hogā
ye aisī jiit hai pahlū meñ jis ke haar chaltī hai