ā.eñge nazar sub.h ke āsār meñ ham log
baiThe haiñ abhī parda-e-asrār meñ ham log
laa.e ga.e pahle to sar-e-dasht-e-ijāzat
maare ga.e phir vādī-e-inkār meñ ham log
ik manzar-e-hairat meñ fanā ho ga.iiñ āñkheñ
aa.e the kisī mausam-e-dīdār meñ ham log
har rañg hamārā hai, har ik rañg meñ ham haiñ
tasvīr hue vaqt kī raftār meñ ham log
ye ḳhāk-nashīnī hai bahut, zill-e-ilāhī
jachte hī nahīñ jubba-o-dastār meñ ham log
ab yuuñ hai ki ik shaḳhs kā mātam hai musalsal
chunvā.e ga.e hijr kī dīvār meñ ham log
sunte the ki bikte haiñ yahāñ ḳhvāb sunahre
phirte haiñ tire shahr ke bāzār meñ ham log