Aziz Nabeel

moajaze ka dar khula aur ek asa raushan hua

Aziz Nabeel

Mumbai, Maharashtra, India

1976
mo.ajaze kā dar khulā aur ik asā raushan huā
duur gahre pāniyoñ meñ rāsta raushan huā
jaane kitne sūrajoñ kā faiz hāsil hai use
is mukammal raushnī se jo milā raushan huā
aañkh vāloñ ne churā lī raushnī saarī to phir
ek andhe kī hathelī par diyā raushan huā
ek vahshat dā.era-dar-dā.era phirtī rahī
ek sahrā silsila-dar-silsila raushan huā
mustaqil ik be-yaqīnī, ik musalsal intizār
phir achānak ek chehra jā-ba-jā raushan huā
aaj phir jalne lage biite hue kuchh ḳhaas pal
aaj phir ik yaad kā ātish-kada raushan huā
jaane kis aalam meñ likkhī ye ġhazal tum ne 'nabīl'
ḳhāmushī bujhne lagī, shahr-e-sadā raushan huā
Top Urdushayar.com